Pm narendra modiji ne adarsh gram yojna ka aaj subharambh kiya apr kya yah yojna safal hogi? bilkul hi nahi , kyo ki jo blue print tyar kiya gaya h usse ye yojna puri tarah vifal hogi
Yadi is yojna ko safal banana h to mere nimnlikhit sujhao par dhyan dena chahiye tabhi iska laabh gramvasiyo ko mil sakta h :-
(1) yah ki jis bhi gram ko member of parliament chune baha ka pahle survey ho kitne gramvasi us gram mae rahte h
(2) yah ki us gram mae kitne ghar h.
(3) yah ki kitno k paas ghar nahi h.
(4) har ghar ka kshetrafal kitna h.
(5) jinke paas ghar nahi h unko kitni jamin makano k liye lagegi.
(6) yag ki ab isme school, primary health center, post office , panchyat bhavan , khel k medan balko k liye alag aur balikao k liye algag, sanchar bhavab ki building k liye jagah , tatha sarkari anya subhidhao k liye kitni jamin chahiye tatha roads aur anya chison k liye kitni jamin ki jarurat h in sabki gadhna kar le
(7) iske baad adarsh gram ne upar bataye anusar member of parliament ustni jamin ko kharide.
(8) iske pashchat us kharidi gai jamin par gram ki sanrachna kare
(9) sampurn gram ban jane k pashchat survey anusar naye gram mae nirmit makano ka abantan us gram k vasiyo ko de evam uske purv rah rahe makan ka possession sansad sadasya apne hath mae le
(10) iske pashchat puranegram k makano ka demolitions arthart nasht karke us jamin ka samtikaran kar jis gram vasi k paas jamin nahi ho usko abantit kar de
Itna karne k pashchat hi ek adarsh gram ka nirman ho sakta h jo kai saali tak adarsh gram bana rah sakata h anyath peso ki barbadi karna hi h wo kabhi adarsh gram nahi ban sakte
Ye sabhi adharbhut dhanche ka nirman hone mae kam se kam 5 saal lagege tatha sampurna viksit hone mae 10 saal bhi lag sakte h.
Ab kalpna kijiye ki sahi vikas hone mae kitna samay lagega
Modiji sahi mae bharat ko viksit desh banana chahte h to is yojna par amal karna padega tabhi adarsh gram ki kalpna purn ho sakti h.
Saturday, 11 October 2014
Sansad adarsh gram yojna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment