Lok sabha chunav mae modiji bhartiya janta party k pm candidate the aur bjp neta congress par tana marti thi ki congress ka pm candidate kon ? Congress bina senapati k chunav maedan mae h aur uski har nishchit h aur bjp ka tana sahi laga janta ne modiji ko pm pad k yogya mana aur modiji ne janta ko jo hashin sapne dikhaye us par vishwas kar espasht bahumat diya jo 30 barsho k baad is party ko mila
MP Rajesthan chhatisgarh himachal pradesh utrakhan k chunav k samay bhi bjp ne sabhi rajyo k apne cm candidates k dam par chunav ladha aur mp aur c g mae bhi congress par yahi hamla kiya ki bina neta k chunav ladh rahi h aur uski haar nishchit h . Parinam bhi yahi hua
Ab maharahtra aur haryana mae vidhan sabha chunav hine ja rahe h par bjp ne doni rajyo mae cm candidate project nahi kiya aur bina senapati k chunav ladh rahi h par yesa lagta h ab bjp ki ranniti mae bhi fark aagaya h aur jo bhi ab chunav hoge modiji k bal par hi ladhe jayege jesa ki congress mae hota raha h aur ye achchha bhi h kyo ki neta ka chunav vidhan sabha sr chunkar aaye pratinidhi hi karte h par iske pahle bjp mae yesa koi lok priya neta nahi tha jiske dam par chunav jita jaye isliye wo pradesh ka jo sitting cm hota tha ya ex cm hota tha usi ko cm candidate banakar chunav ladti thi par modi k jitte hi yah bjp ki ranniti badal gai ab bhavishya mae jo bhi chunav hoge modi ki dam par hi ladhe jayege .
Afsos to is baar ka h ki congress is baat ko muddha nahi bana payi jabki maharahtra aur haryana mae cm k tor par congress k prithviraj singh chavan aur huddha ji par bjp ka koi chehra nahi h
Congress ki ek aur kamjori in chunavo mae ujagar huyi h ki unke paas achchhe vakta nahi h jo dhara prabhav tarike se ek ghante tak lagatar bhashan de sake congress ko is taraf jarur dhyan dena chahiye aur bhashan kala mae netato ko prashikshit karna chahiye
Intjar karte h dono rajyo k kya parinam aate modiji apne abhiyan mae kitne safal hokar lokpriya neta ki chhabi banate h ya upchunavo ki hi tarah unko hatasha lagti h.
Wednesday, 8 October 2014
Maharashtra aur haryana mae bjp ka cm candidate kon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment